Saturday, December 05, 2009

Amma in Bahrain - Nov 2009


Amma Jee is here in Bahrain.

Wednesday, December 02, 2009

After a long time !!

June
Phir june aaya hay
Garmiyoun ki batain hain
Chilchilati dhoop mein..
Kaali tapti sarkon (roads) per..
Tez gaaryaan jin mein..
Pur faraib chehray jo..
Apni adaaon kay saath..
Apni anaaon kay saath
Khoul banawat ka ourhay..
Dekh ker youn guzar jatay hain..
Jaisay kay daikha na ho !!
Kabhi kuch socha na ho !!

Akhir yeah chaand chehray..
Apnay dil ki baat bhi..
Kisi say to kartay hon gay
Sabaq mohabbat ka parhtay hon gay..
Phir yeah bharam kaisa??

Zeest ki tanhai mein..
Gumshuda faslon mein..
Khoi hui manzilon mein..
Phir June aya hay
Phir June aya hay.

June, 1998
Export Promotion Bureau AuditLunch walks between FTC and Gora Qabrustan

Saturday, March 21, 2009